02/05/2024
Suratul Quraish...
بسم الله الرحمن الرحيم
Is surah ka asal maqsad Allah ka shukr h...
Mgr kaise...??
Hm sab jaante h ke Allah ke hmpr kitne ehsaan h..
Shyd nhi jaante....
Agr hmko Allah ke ehsaan yaad hote to ky Allah ko baar baar Quran me apne shukr ke liye kehna pdhta???
Ky baar baar apni ita'at or ibadat ke liye hmko ubhaarna pdhta??
Nhii...
Allah ke hmpr ehsaan hmari har saans pr h.. mgr phir bhi Allah hmari pakad nhi krte..
Bht pyar se smjhate h ke dekho Maine tmhare liye ky kuch nhi kiya...
Yaha bazaahir misaal to Arab walo ki di h mgr ishara to Puri ummat ko h naa...
Arab walo ko Allah ne apni badi nemat yaad dilayi or usse unko apni ibadat ki taraf bulaya... Ky hmari nemate unse Kam h?? Ky hm Muhammad sallallahu alaihi wasallam ki ummat nhi h??
To hmpr kaise ye farz nhi hota ke hm Allah ka shukr kre...
Iski tafseer me ek baat mujhe bht khaas ye lgi ke jb Allah kisi pr khaas inaam krte h to uspr Allah ka khaas shukr waajib hota h...
Hmare paas khaas nemat nhi h?? Muhammad ke ummati hone se badhkar ky khaas nemat hoskti h??
To ky hm khaas shukr adaa krte h..ky hm uski khaas ibadat krte h??
Wo ky khud ko ummati kahe , ky musalmaan kahe , ky insaan kahe jo apne insaan hone ka shukr nhi adaa krskta...
By BINTE YOUNUS.