03/09/2026
Tablighi Markaz Raiwind ki pehchan, deen-o-dawat ke liye apni zindagi waqf karne wale, Hazrat Shaikh ul Hadith Maulana Zakariyya Sahab R.H ke shagird-e-khaas aur Khaleefa-e-Mujaz, Hazrat Maulana Ihsan ul Haq Sahab R.H bhi is fani duniya se rukhsat ho gaye.
Allah Ta'ala Hazrat Maulana Ihsan ul Haq Sahab ki kamil maghfirat farmaye, un ke darjaat buland farmaye, Jannat ul Firdaus mein a'la maqam ata farmaye aur un ki deeni, ilmi aur da'wati khidmaat ko hamesha ke liye qabool farmaye. Ameen Ya Rabbal Aalamin