Associação Lady Fatemah S.A

Associação Lady Fatemah S.A Associação Lady Fatemah (S.A) Almada Portugal

26/11/2025
Majlis e aza ka aaghaz hua dil sooz marsiyon ke recitation se jo local reciters ne pesh kiye (JazakAllah khair). Uske ba...
31/08/2025

Majlis e aza ka aaghaz hua dil sooz marsiyon ke recitation se jo local reciters ne pesh kiye (JazakAllah khair). Uske baad 🎙 Moulana Shabbir Hasan Maisami Sb ne majlis irshad farmai j**mein humein yaad dilaya gaya ke insaan ki asli zimmedari hai apna ta’alluq Allah (swt) ke saath mazboot banana, āyāt-e-Insān par ghour karna, aur woh gham yaad rakhna jo Rasulullah (saww), Ameerul Momineen Imam Ali (as) aur Sayyida Fatima Zahra (sa) par guzra.

Masayib Karbala par pesh kiye gaye – khaas taur par woh dil shikasta manzar jab Imam Hussain (as) ka paak j**m zulm se ghodon ke naqoon tale kuchla gaya. Yeh paighaam apne andar woh roohani pehlu bhi rakhta hai jo humein Bibi Masooma (sa) ki ibadat aur wafadari ki taraf mutawajjah karta hai.

Iske baad program mein ada ki gayi Namaz-e-Maghribain, phir taboot baramad hua, aur uske baad pur dard matam kiya gaya. Ijtima ka ikhtitam niyaz ke saath hua jo Ahlulbayt (as) ke naam par taqdeem ki gayi.

Dua hai ke Allah (swt), Ahlulbayt (as) ke wasile se, hamara ta’alluq apne saath mazboot kare aur hamein sada unke raste par qaim rakhe. 🖤

🖤 Majlis-e-Aza at ALFSA 🖤Shahadat e Imam Hasan al-Askari (A.S.) aur Bibi Masooma Qum (S.A.) ki yaad mein, Maulana Syed N...
31/08/2025

🖤 Majlis-e-Aza at ALFSA 🖤

Shahadat e Imam Hasan al-Askari (A.S.) aur Bibi Masooma Qum (S.A.) ki yaad mein, Maulana Syed Nusrat Abbas Bukhari ke saath majlis e aza barpa hui.

Program ka aghaaz Hadith al-Kisa se hua, uske baad dil ko choo lene wali Marsiya khwani hamare local reciters ne ki (jazakAllah un sab ka). Majlis mein yeh paighaam diya gaya ke insaan apni mohabbat Allah se kare, duniya se nahi. Aur Ahlulbayt (A.S.) ke raste par chal kar Allah ke qareeb ho. Khaas taur par Bibi Masooma Qum (S.A.) ki taqwa aur ilm, aur Imam Hasan Askari (A.S.) ki sabr o azmat ko highlight kiya gaya.

Masaib mein rooh ko hila dene wala manzar Karbala ka yaad dilaya gaya – jab Bibi Zainab (S.A.) ne apne bhatije Ali Akbar (A.S.) ko aakhri alvida kaha 💔.

Majlis ka ikhtitam Namaz e Maghribain, Dua Jamaat, Matam aur Niyaz ke saath hua.

🤲 Dua hai ke Allah (SWT) hamari yeh khidmat qubool kare aur humein Ahlulbayt (A.S.) ke raste par mazbooti se qayam rakhe.

Iteemas dua 🙏🏻

Madreesa Highlights in Alfsa:Aaj hamare Madressa mein bachon ne Hazrat Abbas (a) ki zindagi aur unki wafadari ke bare me...
09/08/2025

Madreesa Highlights in Alfsa:

Aaj hamare Madressa mein bachon ne Hazrat Abbas (a) ki zindagi aur unki wafadari ke bare mein seekha. 🌿 Unhon ne apne haathon se maqbaray rang bharay, cup mein paani le jaane ka tajurba kiya taake woh samajh saken ke Karbala mein Hazrat Abbas (a) ne pyason ke liye kis tarah qurbani di. Yeh sirf ek sabaq nahi tha, balke ek ehsaas tha jo dil ko chhoo gaya. ❤️✨

ALFSA

Endereço

Rua DA ESCOLA 5A
Almada
2810-239

Notificações

Seja o primeiro a receber as novidades e deixe-nos enviar-lhe um email quando Associação Lady Fatemah S.A publica notícias e promoções. O seu endereço de email não será utilizado para qualquer outro propósito, e pode cancelar a subscrição a qualquer momento.

Entre Em Contato Com O Local De Adoração

Envie uma mensagem para Associação Lady Fatemah S.A:

Compartilhar