Baba Narayan Bhajan

Baba Narayan Bhajan The Official page of Mahan Aadi Asthan Pujiya Shree Samadha Ashram Shikarpur, Sindh, Pakistan. For more info, please visit http://jaisamadha.com

25/08/2026

Jai Samadha

SANDESH: "Jab Simran (naam-jap) ek vyakti karta hai tou akele ka phal milta hai par sangat ke sath karta hai tou sari sangat ke Simran ka labh hasil hota hai"

Samadha Ashram, Shikarpur

24/08/2026

Jai Samadha
Jai Jhoolay Lal

SANDESH: "Waqt guzarta chala jayega par zaruri hai k hum in mahan dino mein li gayi sikhya ko apne jeevan mein thaam len"

Sari Sangat khe Laal Sain je Chaliye Sahib je Samapti jyun lakh lakh wadhayun!

23/08/2026

Jai Samadha

SANDESH: "Rozee dene wala Eshwar hai. Kal ki chinta mein itne gum hojayenge tou aaj bhi gawah denge"

Samadha Ashram, Shikarpur

22/08/2026

Jai Samadha

SANDESH: "SatGuru diyo ka sumat sachi, muhinje mann mandir me achi - har waqt Parmatma se sumat ka daan maangte rahen"

Samadha Ashram, Shikarpur

21/08/2026

Jai Samadha

SANDESH: "Chaturaayi sansaar mein tou kaam ajayegi par SatGuru ke aage tou nimerta hi kaam ayegi"

Samadha Ashram, Shikarpur

20/08/2026

Jai Samadha

SANDESH: "Ikcha rakhna buri baat nahi par har waqt uske peeche bhaagna galat baat hai kyunke na-shukri zahir karta hai"

Samadha Ashram, Shikarpur

19/08/2026

Jai Samadha

SANDESH: "Hum sab par har woh cheez haraam hai jo humein apne aape se bahir kare, chahe wo gussa ho ya sharaab"

Samadha Ashram, Shikarpur

18/08/2026

Jai Samadha

SANDESH: "Dusron ke aib hi dekhte rahenge tou kabhi jeevan aur soch mein aage nahi barh payenge"

Samadha Ashram, Shikarpur

17/08/2026

Jai Samadha

SANDESH: “Hujat aur vishwas mein ek bareek rekha hai, vishwas dil ko sukoon deta hai, aur hujat sukoon ke beech bhi sawaal dhoond leti hai.”

Samadha Ashram, Shikarpur

16/08/2026

Jai Samadha

SANDESH: "Jesi bhavna rakhenge wesa hi Guru dar se phal paa kar jayenge"

Sari Sangat khe Saaye Aachar jyun lakh lakh wadhayun!

Address

Samadha Ashram, Circular Road, Jumani Hall
Shikarpur
78100

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Baba Narayan Bhajan posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Contact The Place Of Worship

Send a message to Baba Narayan Bhajan:

Shortcuts

Share

Category