02/01/2026
Hazrat Aliؓ wo hasti hain jin ka zikr dil ko zinda kar deta hai. Jin ki shuja‘at meydan-e-jang mein misaal bani aur jin ka ilm qalam se pehle amal mein nazar aaya. Aliؓ se mohabbat sirf jazba nahi balkay iman ki roshni hai. Jahan Aliؓ ka naam liya jaye wahan haq, insaaf aur sabr ka paighaam khud bolta hai.