22/08/2026
08 Rabi-ul-Awwal 1448H — Ayyam-e-Azaa ka Aakhri Din
Shahadat-e-Imam Hasan Askari (a.s.)
Aaj Ayyam-e-Azaa ka aakhri din hai… 🖤
Aaj us Mazloom Imam (a.s.) ki shahadat ka din hai jinki poori zindagi qaid, nazarbandi aur zulm ke saaye mein guzri. Imam Hasan Askari (a.s.) ne apne chahne walon ko sabr, taqwa aur Wilayat-e-Ahlebait (a.s.) par qayam rehne ka dars diya.
Aaj jab Azaa ka ye silsila apne ikhtitam ko pahunch raha hai, to dil se bas itna kehna hai:
“Mola Hasan Askari (a.s.), hum aapki shahadat par pursa pesh karte hain. Aapke bete, Imam-e-Zamana (a.t.f.s.), ki khidmat mein bhi tasleeyat aur pursa arz karte hain.”
🖤
اللّٰهُمَّ الْعَنْ قَاتِلَ الْحُسَيْنِ وَقَاتِلَ أَوْلَادِ الْحُسَيْنِ عَلَيْهِمُ السَّلَامُ
Shahadat-e-Imam Hasan Askari (a.s.) par tamam Momineen-o-Mominaat ki khidmat mein pursa pesh hai.
Ya Imam-e-Zamana (a.t.f.s.)! Hum aapki khidmat mein pursa pesh karte hain. 🏴
الوداع یا حسینؑ، الوداع…
الوداع یا شہیدِ کربلاؑ… 🖤🏴