24/04/2016
Asalamualaikum
Warahemathullahhe
Wabarakathahu
Allah Ke Napasandidah Log Quran Ki Roushni Me ….
💟Al-Quraan :
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيم
🌸Allah Ta’ala Ziyadati Karne Walo Ko Pasand Nahi Farmata.
📚– (Surah:Al-Baqarah, Aayat No:190)
2⃣Aur Allah Ta’ala Zaalimo Se Mohabbat Nahi Karta.
📚– (Surah:Al-Imran, Aayat No:57)
3⃣Allah Ta’ala Takabbur (Ghamand Se Itrana) Karne Walon Aur Shaikhi Khoron (Badhai Karne) Ko Pasand Nahi Farmata.
📚– (Surah:Al-Nisa,Aayat No:36)
4⃣Yaqinan Daga Baaz Gunahgaro Ko Allah Ta’ala Pasand Nahi Karta.
📚– (Surah:Al-Nisa, Aayat No:107)
5⃣Aur Allah Ta’ala Fasaad Karne Walo Se Mohabbat Nahi Karta.
📚– (Surah:Al-Maidah, Aayat No:64)
6⃣Allah Ta’ala Had Se Badhne Walo Ko Pasand Nahi Karta.
📚– (Surah:Al-Maidah, Aayat No:87)
7⃣Allah Ta’ala Garoor Karne Walo Ko Pasand Nahi Farmata.
📚– (Surah:Al-Nahl,Aayat No:23)
8⃣Allah Ta’ala Khayanat Karne Walo Ko Pasand Nahi Farmata.
📚– (Surah:Al-Anfal, Aayat No:58)
9⃣Beshak Allah Ta’ala Kisi Khayant Karne Wala Nashukr Allah Ta’ala Ko Hargiz Pasand Nahi.
📚– (Surah:Al-Haj, Aayat No:38)
🔟Allah Ta’ala Itrane Walo Se Mohabbat Nahi Rakhta.
📚– (Surah:Al-Qasas, Aayat No:76)
💥Ya Rabb e Kareem ...
Ham GunahGaro se wo le le jisse Mera Rab Aur uska Pyara Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam Razi ho jaye...
!!!@!!!