02/12/2023
Guru ne manka bajaaya taar
Guru ne manka bajaaya taar//2//
Bajaaya taar....
Ha Hu Hi ka raaz bata kar
Abi Gaya re yaar ,//2//
Guru ne manka bajaaya taar
Guru ne manka bajaaya taar//2//
Kaaba jaau kaashi jaau
Ya jaau kohosaar//2//
Sab kuch khud me bataaya guru ne
Kaahe ko re kahoSaar //2//
Guru ne manka bajaaya taar
Guru ne manka bajaaya taar//2//
Tan se man hai man se tan hai
Dono ke do taar //2//
Aawat jawat har me Hari hai
Manka hai darbaar//2//
Guru ne manka bajaaya taar
Guru ne manka bajaaya taar//2//
Na A zami thi na o falak tha
Mera tha sansaar //2//
Jab se liya mai roop Hari ka
Jalwe huwe beshumaar
Guru ne manka bajaaya taar
Guru ne manka bajaaya taar//2//
Mulla kyun tu cheeq raha hai //2//
Kaha gaya o yaar //2//
Dekh samajh kar khud me hai naada
Kahe ko cheeq pukaar //2//
Guru ne manka bajaaya taar
Guru ne manka bajaaya taar//2//
Milke guru se paale gun ko
Tasdeeq O iqraar//2//
Pher le manka hardum nada
Beda hai tera paar
Guru ne manka bajaaya taar
Guru ne manka bajaaya taar//2//
Manko andhera karliye naada
Tanka kare shringaar ///2//
Tan ko mitaana manko sajaana
Ise kahe dildaar//2//
Guru ne manka bajaaya taar
Guru ne manka bajaaya taar//2//
Banke shikaari firte hai yaaro
Leke bade hatiyaar //2//
Dushman khud me sabse bada hai
Nafs karlo shikaar //2//
Guru ne manka bajaaya taar
Guru ne manka bajaaya taar//2//
Mere guru ne muj ko pila kar
Kardiya Mera prachaar //2//
Ayese guru pe mai bhi sadqe
Sadqe Mera ghar baar//2//
Guru ne manka bajaaya taar
Guru ne manka bajaaya taar//2//
La ila ka tamboora banale
illalla ke ho taar//2//
Mohammad rasool allah raag suna ke
Bajo re a sitaar //2//
Guru ne manka bajaaya taar
Guru ne manka bajaaya taar//2/
Peer tujhe abb hosh kaha hai
Kya maara re maar //2//
Maar jo khaaya jabse unka
Hogaya arsh ke paar//2//
Guru ne manka bajaaya taar
Guru ne manka bajaaya taar//2/
Jannato dozak barzak me se
tuj ko milega kya //2//
Teeno ko bus chor de nada
Ali ka hoja yaar //2//
Guru ne manka bajaaya taar
Guru ne manka bajaaya taar//2/
(Kalame peer).....
(Lyrics posted by Sufi.Salman.ali )