14/12/2025
Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Siddeeq e akbar, Ateeq, Afzal-un-naas ba’adal Ambiya, Yaar e ghaar e Nabi, Ṡaani al-iṡnain, Khalifatul Rasool-Allāh, Saalaar e sahaaba.
*************
Aap ki wilaadat 573 A.D. me Makka me hui.
*************
Aap ka asl naam Abdullāh hai.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Abu Quhaafa, Uṡmaan ibn Aamir radiy-Allāhu ta’ala anhu aur waalida ka naam Ummul Khair, Salma bint Sakhar hai.
Aap Quraish ke Banu Taym khaandaan se hain.
*************
Aap ke bachpan me ek baar Aap ke waalid Aap ko Ka’aba me le gaye aur buto ki ibaadat ke liye kaha. Jab Aap ke waalid kisi kaam se bahar gaye to aap ne ek but ke saamne khade hokar kaha “Aye but! Mujhe achhe kapde chaahiye. Kya tum de sakte ho?” But me se koi jawaab na mila. Phir aap ne dusre but ke saamne khade hokar kaha “Aye but! Mujhe achha khaana chaahiye. Kya tum de sakte ho?” But me se koi jawaab na mila. Aap ne ghusse me aakar ek patthar uthakar kaha “Ab main tumhe patthar maarne waala hu. Agar tum khuda ho to khud ko bacha lo.” Yeh kehkar aap ne but ko patthar maara aur waha se nikal gaye. Is ke baad Aap kabhi kisi but ki ibaadat ke liye nahi gaye.
*************
Makka me Aap Mohalla Misfalah me sukoonat pazeer the.
591 A.D. me 18 baras ki umr me Aap ne apna khaandaani kapdo ka kaarobaar sambhala aur Yemen, Shaam aur dusre mulko me qaafile ke saath safar karne lage. Is tarah Aap ne tajurba aur maal o daulat haasil kiya.
Aap apne amaanatdaari aur husn e akhlaaq ke sabab mash'hoor the. Sardaaraane Quraish mukhtalif umoor aur muamalaat me Aap se mashwara kiya karte the.
*************
Aap ailaan e nabuwwat se pehle bhi Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke dost the aur Aap ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke saath qaafile me safar kiya tha aur Aap Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki sadaaqat aur amaanatdaari se waaqif the.
Jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ka nikaah Hazrate Khadeejatul kubra radiy-Allāhu ta’ala anh ke saath hua us me bhi Aap shareek hue.
Ek marataba Hazrate Abu Bakr radiy-Allāhu ta’ala anhu tijaarat ke liye mulk e Shaam gaye tab ek raat aap ne khwaab me dekha ke ek noor utra aur aap ke daaman me sama gaya. Jab aap ki aankh khuli to aap ne logo ko is ajeeb khwaab ke baare me bataakar un se is ki taabeer puchhi.
Buhaira naami raahib ne aap se puchha “Tum kaha se aaye ho?” Aap ne use bataaya “Main Makka se aaya hu.” Us ne puchha “Kaun se qabeele se ho?” Aap ne kaha “Quraish se.” Us ne puchha “Kya karte ho?” Aap ne kaha “Taajir hu.” Us raahib ne kaha “Humari kitaab me yeh bayaan hai ke Ahmad naam ke ALLĀH ke Nabi Makka me zaahir honge. Shaayad yeh is baat ki taraf ishaara hai. Aur tum un ke wazeer aur un ke baad un ke khalifa banoge.”
Is ke baad Aap Makka waapas aaye.
610 A.D. me Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne Makka me ALLĀH ke hukm se ailaan e nabuwwat kiya hai tab aap Yemen me the. Makka waapas aane par jab aap ko pata chala to Aap Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ki baargaah me gaye aur puchha “Kya aap ne ailaan e nabuwwat kiya hai?’ Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ke “Us raahib ne tumhe jo bataaya wo sach hai.” Hazrate Abu Bakr radiy-Allāhu ta’ala anhu jaante the ke unho ne Makka me yeh baat kisi ko nahi bataai thi. Is liye yeh sunkar Aap foran kalma padhkar musalman ho gaye.
Is tarah Aap mardo me sab se pehle eimaan laaye aur as-Saabiqoon al-Awwaloon me shaamil hain.
Aap ki biwi Qutaylah bint Abdul Uzza eimaan na laai to Aap ne use talaaq de diya.
Aur apne bete Abdur Rahmān ko bhi isi wajah se chhod diya.
3 saal baad jab musalmano ki ta’adaad 38 hui aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Islaam ki da’awat ko zaahir aur aam karna shuru kiya tab sab se pehle Aap ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki taraf se logo ko jama karke Islaam ki da’awat di. Yeh sunkar Quraish ke kuchh naujawaano ne Aap par hamla karke aap ko zameen par gira diya. Utba ibn Rabi'a ne aap ko jootiyo se itna p*eta ke aap ka chehra sujh gaya. Log Aap ko chaadar me lapetkar ghar laaye. Jab Aap ko hosh aaya to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke baare me puchha. Jab log waha se chale gaye to Aap ne phir se apni waalida ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki khairiyat ke baare me puchha. Aap ki waalida ne kaha “Mujhe kuchh ma’aloom nahi hai.” Aap ne kuchh khaaya piya nahi. Raat ko Aap apni waalida aur Umme Jameel ke sahaare Daar-ul-Arqam pahunche aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam se mulaaqaat ki.
Is ke kuchh din baad Aap ki waalida bhi musalman ho g*i.
*************
Aap ki da’awat aur mashware se bahot saare log Islaam me daakhil hue, jin me Hazrat Uṡmaan Ghani bin Affaan, Zubair ibn Awwaam, Talha ibn Ubaidullāh, Abdur Rahmān bin Awf, Sa’ad ibn Abi Waqqaas, Abu Ubaidah ibn Jarrah, Abdullāh ibn Mas'ood, Arqam bin Abil Arqam, Khunais ibn Huzaifa al-Sahmi, Abu Salama Abdullāh bin Abdul Asad, Khaalid ibn Sa'eed, aur Abu Huzaifa ibn Mughirah radiy-Allāhu ta’ala anhuma mash'hoor hain.
Aap ne 8 ghulaamo ko aazaad karaaya jo musalman ho gaye the. Jin me mardo me Hazrate Bilaal ibn Rabah Habashi, Ammaar ibn Yaasir, Abu Fuhaira aur Abu Fakih aur aurto me Lubainah, Nahdiah, Umme Ubais, Haariṡah bint Muammil shaamil hain.
Is ke liye Aap ne 40,000 deenaar kharch kiye. Aap ke waalid ne kaha “Tum budhe aur kamzor ghulamo khareedte ho jis se hame koi faa'ida nahi hoga.” Aap ne farmaaya “Main to ALLĀH ki raza ke liye musalmano ko aazaad karaata hu.”
*************
Ek din Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam Hateem e Ka’aba me namaaz padh rahe the ki Uqba bin Muyeet ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki gardan me kapda daal kar itni zor se khincha ki aap sallallāhu alaihi wa sallam ka gala (dam) ghutne laga. Itne me Hazrat Abu Bakr Siddeeq waha pahunche to aap ne foran Uqba ko dhakka maara aur Qur'ān majeed ki yeh aayat tilaawat ki : “Kya tum ek shakhsh ko is baat par qatl karte ho ki woh kehta hai ki mera Rabb sirf ALLĀH hai, Aur apni nabuwwat aur risaalat ki khuli nishaaniya tumhare paas tumhare Rabb ki taraf se lekar aaya hai.”
*************
Jab Ahle Makka ke zulm badhne lage 6 Nabawi (615 A.D.) me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki ijaazat se aap hijrat karke Habasha [Abyssinia] gaye.
8 Nabawi (617 A.D.) me jab Quraish ne Banu Haashim se tamaam ta’aalluqaat tod diye aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko bahot takleef dene lage aur aap ka baahar aana jaana mushkil ho gaya. Yeh khabar sunkar Hazrate Abu Bakr ne waapas Makka aane ke liye iraada kiya. Aap Qara ke sardaar Ibne Daghinna ki madad se Makka waapas aaye.
*************
12 Nabawi (621 A.D.) me Me'araaj ke baad Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ashaaba ko me'araj ki baaten bayaan farmaai. Kuffaar e Makka ne Hazrate Abu Bakr radiy-Allāhu anhu ko jaakar bataaya aur kaha ke “Kya aap is baat ki tasdeeq kar sakte hain jo aap ke dost ne kahi hai ke unho ne raat o raat Masjid e Haraam se Masjid e Aqsa ki sair ki?” Aap ne farmaaya “Kya Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne waaqai yeh bayaan farmaaya hai?” Unho ne kaha “Ji haan.” Aap ne farmaaya “Agar Aap sallallāhu alaihi wa sallam ne yeh irshaad farmaaya hai to yaqeenan sach farmaaya hai. Aur main un ki is baat ki bila jhijhak tasdeeq karta hu.”
Phir jab Aap Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki baargaah me aaye aur qareeb jaakar baithe to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne phir se shuru se pura waaqya bayaan karna shuru kiya. Aur Hazrate Abu Bakr radiy-Allāhu anhu har baat par farmaate “Sadaqata Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam.”
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne khush hokar Aap ko ‘Siddeeq e akbar’ ka laqab ata farmaaya ya’ani Tamaam Siddeeq me sab se bada. [Siddeeq ka ma’ana hai Sach ka saath dene waala.]
*************
Ek baar Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne ashaaba se farmaaya “Anqareeb Makka se hijarat ka hukm hoga.”
Is ke kuchh din baad jab Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam hijrat ke liye ALLĀH ta’ala ka hukm hua aur aap Hazrate Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu anhu ke ghar pahunche aur abhi aap ne darwaaze par ek hi baar halki si dastak di ke Siddeeq e akbar ne foran darwaaza khol diya.
Aap ne farmaaya “Abu Bakr! Hume hijrat ka hukm mila hai. Kya tum hijrat me saathi banne ke liye tayyaar ho?” Siddeeq e akbar ne farmaaya “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Maine to tab se tayyaari kar li hai jab aap ne hijrat ke liye farmaaya tha. Aur roz raat ko main jaagta rehta tha ke agar hijrat ke liye nikalna ho to mere aaqa ko der na ho.”
Aap ne shaayad zaroorat pesh aaye yeh sochkar apna maal bhi saath me liya jis ki miqdaar 5000 dirham thi.
Hijrat ke liye Makka se nikalne ke baad kuchh door jaane par ek shakhs mila jo Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko nahi pehchaanta tha. Us ne puchha “Aye Abu Bakr! Tumhare saath yeh kaun hai?”
Siddeeq e akbar ne socha ke agar main Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke baare me ise ko bata dunga to shaayad yeh shakhs mere aaqa ko nuqsaan pahunchaaye.
Aap ne us se kaha ke “Yeh raahnuma [yaa’ani mujhe sahi raasta bataane waala] hai.”
Yeh sunkar woh shakhs chala gaya.
Phir Aap Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke saath chalne lage. Aap kabhi Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki daahini taraf ho jaate, kabhi baayi taraf, kabhi aage, kabhi pichhe chalte ke kisi bhi taraf se koi dushman Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko nuqsaan na pahuncha sake.
Phir raaste me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Ghaar e Ṡaur me theharne ka iraada kiya. Hazrate Abu Bakr Siddeeq ne kaha “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Is pahaad par chadhte waqt kankar-patthar se aap ko takleef ho sakti hai. Agar aap ki ijaazat ho to aap mere kandho par baith jaayen. Main aap ko lekar upar chadhunga.”
Is tarah Aap Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko apne kandho par bithakar upar chadhne lage. Raaste me aap kabhi Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke daahine paanv ko chumte, kabhi baayen paav ko chumte. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne puchha “Abu Bakr! Kya kar rahe ho?” Aap ne arz kiya “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Main me'araaj kar raha hu. Aap ki me'araaj yeh hai ke aap Rab ta’ala ke paas la-makaan tak pahunche aur Abu Bakr ki me'araaj yeh hai ke woh aap ke qadmo tak pahuncha.”
Phir Ghaar e Ṡaur me pahunche to ALLĀH ta’ala ke hukm se ek makdi ne gaar ke darwaaze par jaal bana diya aur ek kabootari ne ghaar ke baahar ande diye. Kuffaar aap ka pichha karte hue waha pahunche to ye sab dekhkar yeh socha ke agar koi andar gaya hota ye ande aur jaal yaha na hote aur waapas chale gaye.
Hazrate Siddeeq e akbar ne ghaar ko saaf kiya aur dekha ke ghaar ki deewaro me bahut saare suraakh hain. Aap ne apna jhubba phaadkar un suraakho ko band kar diye ke koi jaanwar aakar mere aaqa ko nuqsaan na pahunchaye. Magar ek suraakh baaqi reh gaya. Aap ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam se kaha “Aap aaraam farma len.” Aur jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam letkar aap ki god me aaraam karne lage to Aap ne us suraakh par apna paav [edi] rakh diya.
Thodi der me ek azdaha ne aakar aap ke paanv par kaata. Aap ne dard aur takleef bardaasht kar liya ke mere aaqa ko khalel na ho. Magar baar baar kaatne par aakhir me aap ki aankh se be-ikhiyaar aansoo nikal gaye. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke chehra e anwar par jab aansoo gire to aap ne farmaaya “Abu Bakr! Kya baat hai?” Aap ne saari baat batai to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne aap ko pair hataane ke liye farmaaya.
Pair hataate hi surakh se azdaha baahar aaya aur salaam pesh kiya aur kehne laga “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Main ek zamaane se aap ke deedaar ke liye gaar me rehta tha aur maine hi bahar aane ke liye ye sab suraakh banaaye the. Magar aap ke saathi ne ye sab suraakh band kar diye aur ek suraakh par apna paanv rakh diya to majbooran mujhe aap ke dost ko kaatna pada.”
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Siddeeq e akbar ke zakhm par apna luaabe dahen lagaya aur aap ko foran aaraam ho gaya.
Hazrat Abu Bakr Siddeeq ke saahabzaade Abdullāh rozaana raat ko Ghaar ke munh par sote aur subah hote hi Makka chale jaate aur pata lagaate ki Quraish kya tadbeere kar rahe hain. Jo kuchh khabar milti shaam ko aakar Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam se arz kar dete.
Hazrate Abu Bakr Siddeeq ke ghulaam Hazrate Aamir bin Fuhayra der raat ko chaaragaah se bakariya lekar ghaar ke paas aa jaate aur un bakariyo ka doodh Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam aur un ke Rafeeq e khaas p*e lete the.
Aap ki is khidmat se khush hokar Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ke “Main chaahta hu ke ALLĀH ta’ala se tumhare liye dua karun ke tumhe apna fazle khaas ata farmaaye.” Aap ne arz kiya “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Aap jaante hain ke mere liye kya behtar hai.” Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne haath uthakar dua farmaai ke “ALLĀH ta’ala qayaamat tak tumhari aulaad me aise afraad ata farmaaye jo uloom e zaahiri aur baatini se faizyaab ho aur jo siraat-e-muataqeem par qaa'im ho aur logo ko bhi un ke zariye hidaayat haasil ho.”
Is tarah Jum’aa se Itwaar tak 3 raat tak ghaar me qayaam pazeer rahe. Phir Abdullāh bin Urayqit 2 oontani lekar aaye. Jin me se Hazrat Abu Bakr Siddeeq ne ek oontani khareedkar Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke saath Madeena ka safar shuru kiya aur dono Yaṡrib [Madeena munawwara] pahunche.
Is tarah Aap ‘Ṡaani e iṡnain fil ghaar’ kehlaate hain. (Is ka zikr Qur'ān majeed me Soorah al-Tauba Aayat no. 9 me hai.)
Is tarah 13 Nabawi (622 A.D.) me Aap ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke saath Makka se Madeena hijrat ki.
******************
Hijrat ke kuchh mahine baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Zaid ibn Haariṡah radiy-Allāhu ta’ala anhu ko apne aur Hazrate Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu anhu ke pariwaar ko Makka se Madeena laane ke liye bheja.
Hazrat Zaid ibn Haariṡah radiy-Allāhu ta’ala anhu ke saath Hazrate Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu anhu ki zauja Umme Rummaan, aur aap ke bache Asma, Abdullāh aur Aa'isha, Ummul mo’mineen Sawdah binte Jam'ah radiy-Allāhu anha, Shehzaadi e Rasool-Allāh Umme Kulṡum auu Faatimah Zahara radiy-Allāhu anha, Khaadim Abu Raafi, Hazrat Zaid ibn Haariṡah ki zauja Baraaka aur beta Usaama bin Zaid, Umme Aiman, Talhah ibn Ubaydullāh, Abdullāh ibn Urayqit radiy-Allāhu anhu Makka se Madeena aaye.
Aap ka pariwaar Hazrat Haariṡ bin Noamaan Najjaari radiy-Allāhu ta’ala anhu ke ghar par muqeem hue. Kuchh waqt baad Aap ne apna makaan ta’ameer kiya.
****************
Madeena munawwara me Aap ke 2 Ghar the. Ek Masjid e Nabawi shareef se muttasil tha, jis ki khidki Masjid e Nabawi ke andar khulti thi aur usi khidki ke muta’alliq Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne apne aakhri ayyaam me irshaad farmaaya ke “Abu Bakr ki khidki ke siwa tamaam khidkiya band kar do.”
Dusra ghar Maqaam e Sunh me tha. Aap yaha ibaadat kiya karte the. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke wisaal e zaahiri ke waqt Aap usi ghar se kaashaana e Nabuwwat me haazir hue the.
*************
Aap dusre ashaaba ke saath Masjid e Nabawi ki ta’ameer ka kaam karte rahe.
*************
2 Hijri me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke saath Aap ki saahabzaadi Hazrate Aa'isha ka nikaah hua.
*************
Aap ke baare me Huzoor Rasool-Allāh Aaqa sallallāhu alaihi wa sallam farmaaya hai ki
(1) Siwa e Ambiya ke kisi dusre aise aadami par aaftaab tulu aur ghuroob nahi hua jo Abu Bakr se Afzal ho.
(2) Agar Abu Bakr ke Eimaan ka meri tamaam ummat ke eimaan ke saath wazan kiya jaaye to Abu bakr ka Eimaan ghaalib aaye.
(3) Abu Bakr ka yeh martaba sirf us ki ibaadat ki wajah se nahi hai, balke ALLĀH ta’ala ne uske dil me jo khaas rakha hai us ki wajah se hai.
(4) Sab se zyada mujh par Abu Bakr ke ehsaan hain, maal ka bhi aur hum-nasheeni [sohbat] ka bhi. Us ne Islaam ke liye apni jaan aur maal bhi qurbaan kiye hain aur apni beti mere nikaah me di hai aur Abu Bakr ne Bilaal al-Habashi ko aazaad karaaya hai.
(5) Kisi shakhs ke maal ne mujhe itna faa'ida nahi diya jitna faa'ida mujhe Abu Bakr ke maal ne diya hai.
(Islaam qubool karne ke baad se lekar Hijrat tak aap ne Islaam ki madad ke liye 35000 dirham kharch kar diye aur 5000 dirham hijrat ke waqt saath liye.)
(6) Abu Bakr ki mohabbat aur un ka shukr meri tamaam ummat par waajib hai.
(Ibne Asaakir)
(7) Meri ummat me sab se zyada raham dil Abu Bakr Siddeeq hai.
*************
Aap Ashra e mubashshira me se hain.
(1) Ek baar Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne aap se farmaaya “Abu Bakr! Jannat me daakhil hone waalo me tum sab se pehle rahoge.”
(2) Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne aap se farmaaya “Abu Bakr! Tum ghaar me bhi mere rafeeq [saathi] the aur jannat me bhi mere bahot qareeb rahoge.”
(3) Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne aap se farmaaya “Anta Ateequm minan naar.” (ya’ani Tum Jahannam se aazaad ho.)
Aur Ek martaba ashaaba se farmaaya “Jise dozakh se aazaad shakhs ko dekhna ho woh Abu Bakr ko dekh le.”
*************
Ek baar Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “Jab ALLĀH ta’ala kisi mo’min ke liye bhalaai ka iraada karta hai to us me koi khaslat paida farmaata hai jis ke sabab wo jannati ban jaata hai aur aisi 360 khaslaten hain.”
Hazrate Abu Bakr ne puchha “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Kya mujh me aisi koi khaslat hai?”
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “Abu Bakr! Tumhe mubarak ho ke tum me wo tamaam khaslat maujood hai.”
******************
Ek martaba Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “(Qayaamat ke din) Namaaziyo ko Baab-us-Salaat se pukaara jaayega, Mujaahideen ko Baab-ul-Jihaad se, Sadqaat karne waalo ko Baab-us-Sadqa se, Rozadaaro ko Baab-us-Siyaam se pukaara jaayega.”
Hazrat Abu Bakr Siddeeq ne arz kiya “Ya Rasool-Allah sallallāhu alaihi wa sallam! Kya koi shakhs sab darwaazon se pukaara jaayega?”
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “Haan. Main ummeed rakhta hu Aye Abu Bakr ke tum un me se ho.”
*************
Ek baar Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne Siddeeqe akbar ko apni angoothi mubarak di aur farmaya ki “Is par LAA ILĀHA ILLALLĀH naqsh karwa ke laao.”
Jab Aap ne wapas aakar angoothi Huzur ki khidmat me pesh ki to us par likha tha ‘LAA ILĀHA ILLALLĀH MOHAMMADUR RASOOL-ALLĀH’ aur us ke saath hi Siddiqe akbar ka naam bhi likha tha.
Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne puchha “Abu Bakr! Hum ne to LAA ILĀHA ILLALLAĀH likhwaane ko kaha tha magar tum hamara naam aur apna naam bhi likha laaye.”
Abu Bakr Siddeeq ne arz kiya “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Mere dil ko ganwara nahi tha ki Khuda ke naam ke saath aap ka naam na ho. Is liye saath me aap ka naam to maine hi likhwaaya magar mera naam maine hargeez nahi likhwaaya aur mujhe khud ko pata nahi yeh kaise aur kis ne saath me likha.”
Itne me Hazrate Jibr'eel Ameen alaihis salaam haazir hue aur arz kiya “Ya Rasool-Allah sallallāhu alaihi wa sallam! ALLĀH ta’ala ne farmaya hai ki Siddeeq ko ganwara na tha ke aap ka naam hamare naam se juda kare. Lihaaza Siddeeq ne aap ka naam hamare naam ke saath likhwaaya aur hum ne Siddeeq ka naam aap ke naam ke saath likhwa diya.”
*************
Ek baar Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya “Mujhe 3 cheezen bahot mehboob hain – khushboo, nek biwi aur meri aankho ki thandak namaaz me hai.”
Hazrat Abu Bakr Siddeeq foran bole “Aye ALLĀH ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam! Mujhe bhi 3 cheezen bahot pasand hain –ek aap ke chehra e anwar ko dekhte rehna, dusra Aap par apna maal kharch karna, Teesra yeh ki meri beti Aap ke nikaah me hai.”
*************
Jab bhi azaan me Aap Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ka naam mubarak sunte to foran mohabbat ke saath durood shareef padhkar dono angoothe ko chumkar apni aankho se lagaate.
*************