31/08/2025
https://youtu.be/SEz0dljTHUM
ChaleN haiN Karbala Sarwar, Aza ka aakhri din hai
Kalaam: Janab Sultan Suroor Lucknowi Saheb
Anjuman: Dasta e Hussaini, Lucknow
=====
ChaleN haiN Karbala Sarwar, Aza ka aakhri din hai
Azakhana badhaya jaa raha hai, Dil pareshaN hai
MaiN kin aakhoN se dekhooN ghar, Aza ka aakhri din hai
ChaleN haiN Karbala Sarwar, Aza ka aakhri din hai
HameN jo zinda rakkhe tha, usi MehmaaN ki rukhsat hai
Jiyen ge saal bhar kyunkar, Aza ka aakhri din hai
ChaleN haiN Karbala Sarwar, Aza ka aakhri din hai
Hamari maaN Ali Ashgar ka gahwara badhati hai
Badhati hai Alam bahar, Aza ka aakhri din hai
ChaleN haiN Karbala Sarwar, Aza ka aakhri din hai
Na ghar hi achcha lagta hai, Na duniya achchi lagti hai
Yeh dil roota hai ro ro kar, Aza ka aakhri din hai
ChaleN haiN Karbala Sarwar, Aza ka aakhri din hai
GharoN se Taziyea ki shakl meiN, Shabbir jaateN hain
Qayamat ka hai yeh manzar, Aza ka aakhri din hai
ChaleN haiN Karbala Sarwar, Aza ka aakhri din hai
AzadaroN ke chheroN par, udaasi hi udaasi hai
Likha hai sab ke chheroN par, Aza ka aakhri din hai
ChaleN haiN Karbala Sarwar, Aza ka aakhri din hai
Abhi kuch deir meiN, Farsh e Aza bhi utthne wala hai
ZameeN roti hai yeh kah kar, Aza ka aakhri din hai
ChaleN haiN Karbala Sarwar, Aza ka aakhri din hai
MaiN Baba ko Tumhare, kis tarah rukhsat karooN ghar se
Sahara do Ali Akbar, Aza ka aakhri din hai
ChaleN haiN Karbala Sarwar, Aza ka aakhri din hai
Suroor* agle baras tak, Zinda rahne ki dua maango
Qayamat aa gayi sar par, Aza ka aakhri din hai
ChaleN haiN Karbala Sarwar, Aza ka aakhri din hai
ChaleN haiN Karbala Sarwar, Aza ka aakhri din haiKalaam: Janab Sultan Suroor Lucknowi SahebAnjuman: Dasta e Hussaini, Lucknow=====ChaleN haiN Karbala Sarwar,...