22/07/2026
Jantar Mantar Ki Sada
Jantar Mantar pe yeh kaisa manzar-e-gham ho gaya
Khwab har talibe ilm ka aaj barham ho gaya
Haath mein the sirf Aaeen, Haq, Dua aur Hausle
Kyun jawab-e-harf-e-haq, laathi ka mausam ho gaya
Betiyan sab saath thin, aankhon mein roshan khwab the
Zulm ke har waar se har khwab maddham ho gaya
Jin ke haathon mein qalam tha, fikr ka sarmaya tha
Un pe har zarb-e-sitam, ilm ka maatam ho gaya
Cheekhte the be-gunahi, maangte the apna haq
Sunne wala hi magar behra-e-aalam ho gaya
Khoon se likhi gayi jab dard ki har ek satar
Phir adl ka roshan waraq bhi aaj mubham ho gaya
Waqt likhega sachchai, zulm kab rehta abad
Har andhera ek din sooraj se barham ho gaya
Zulm ki buniyad aakhir ret ki deewar hai
Sabr walon ka irada koh se muhkam ho gaya
Tariq ahle qalam khamosh kab reh paayenge
Dard jab had se badhe, harf hi parcham ho gaya