Shri Navarna Mantra Sanstha ki staphana Aacharya Awdhesh ji ne varsh 2012 mein apne sahyogi Aacharya Dashrath ji ke sath Lucknow me manushya jivan me Sukh, Shanti avam Samriddhi lane ke uddeshya se ki. Aaj ke sansar me har vyakti Sukh, Shanti aur samridhi ki iccha rakhta hain; lekin uske purane janam ke karmo, grih, Nakshatro, nakaratmak Urja aur buri shaktiyo ki vajah se in tino ko kho deta hain;
uske ghar me bimari lagi rehati hain, bante bante sare kaam bigadne lagte hain aur ant me wo tang aakar baba, tantra, guruo ki talash me lag jata hain parantu wo ye bhool jata hain ki is jag mein sarvocch Shakti Mata Rani hain aur wo unke charno me jane ke bajaye vyakti puja aur nishta par dhyaan dene lagta hain aur dheeme dheeme patan ki or agrasar ho jata hain aur swayam ke vinash ka mukhya karan banta hain. Is dauran wo dhongi baba, tantriko ke jaal me fas jata hain aur apne aarthik patan avam mansik asantosh ka karan banta hain. Hamari Sanstha ka kehna kewal yeh hain ki aap log vyakti puja par se nishta hata ke us Mamtamayi Maa Jagdambey ke Shree Charno ki seva kare jinke hath me is samast jagat ki bagdor hain. Hamari sanshta me hum logo ko jivan me sukh, shanti avam samriddhi pane ke tarike batate hain lekin wo tarike apko khud karne honge aur sabse mukhya baat bina Mata Rani ke Shree Charno me samarpan aur seva ke koi fal prapt nahi hoga. Yadi aap kafi ilaaj karane ke baad bhi bimari se pidit hain, Grih Dasha bahut kharab chal rahi hain, koi kaam nahi ban raha hain, paraiwar me kalah aadi hain to aap hamse avashya miliye; Mata Rani ke Aashirwad aur Kripa se aapki samasyayen sheegra hi samapta hongi aur apke jivan me jaldi hi sukh, shanti avam samriddhi hogi. Phone No. : 08808278541
Milne ka samay : Shaam 7 se 9 baje @ B-243, Rajaji Puram Lucknow, Uttar Pradesh - 226017
Vishesh Note :
1. Hamare yaha kisi bhi prakar ka koi bhi shulk nahi liya jata hain.
2. Hamare yaha kisi bhi tarah ke anaitik tantra ya karya nahi kiye jate hain to kripya kisi bhi parakar ke anitik aur asamajik tantra ya karya ke liye na mile. Yadi kisi prakar ke tantra se grasit aur parsehan hain to uske upaya ke liye mil sakte hain.