Al Quran and Hadith

Al Quran and Hadith O you who have believed, obey Allah and His Messenger and do not turn from him while you hear [his o

This page is created with an honest intention of letting my Muslim brothers and sisters know the importance of Learning, Reading and Understanding the Holy Quran and Hadees of Prophet Muhammad Sallallahu Alai Wasllam (Peace be op on him) and then implementing the same in our daily life - Just to please Allah subhanavata'la

12/12/2024

Inshallah …. Tomorrow In Hyderabad

31/10/2024

Abu Aaliya (Rahimahullah) ne Ibn Abbas (Radhi Allahu Anhu) se rivayat kiya hai:

Nabi (sallallahu alayhi wasallam) karb (shadeed takleef deh musibato, aafato ki kaifiyat) ke waqt ye dua kiya karte the:

لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ الْعَظِيمُ الْحَلِيمُ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ رَبُّ السَّمَاوَاتِ وَرَبُّ الْأَرْضِ وَرَبُّ الْعَرْشِ الْكَرِيمِ

Tarjuma: Allah ke siwa koyi ibadat ke layaq nahi jo sabse azeem hai, sabse zyadah haleem wala hai. Allah ke siwa koyi ibadat ke layaq nahi jo arsh azeem ka maalik hai. Allah ke siwa koyi ibadat ke layaq nahi jo aasmano ka maalik, zameeno ka maalik aur izzat wale arsh ka maalik hai.

(Sahih Muslim, Kitab al-Dua, 6921)

28/10/2024

Ummul Momineen Aisha (Radhi Allahu Anha) se rivayat hai:

Rasool Allah (sallallahu alayhi wasallam) ne farmaya: Reham (rishtedari) Allah se liya gaya hai, jo iss (reham) ko milaega Allah Ta'ala use milaega aur jo ise katega Allah Ta'ala use kaat dega (yani jo shakhs rishtedari ke huqooq ka khayal rakhega to Allah Ta'ala bhi use nawazega aur use poora poora sawab dega. Aur jo shakhs rishtedari todega to woh Allah Ta'ala ki rehmat se door aur mehroom ho jayega).

(Sahih Muslim, 2555)
(Sahih Bukhari, 5989)
(Al-Adab al-Mufrad, 55)

27/10/2024

Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) se rivayat hai:

Ek shakhs Nabi (sallallahu alayhi wasallam) ke paas aya aur arz kiya: Aye Allah ke Rasool (sallallahu alayhi wasallam) mere kuch azeez (rishtedar) hain, main unse talluq jodta hoon jabki woh qata talluqi karte hain, main unse hasan sulook karta hoon aur woh mujh se bad-sulooki karte hain. Woh mujh se jahilana tarz ikhtiyar karte hain to bhi main tahmil aur burd-baari (yani sabr aur bardasht) se kaam leta hoon. Aap (sallallahu alayhi wasallam) ne farmaya: Agar waqai aise hai jaise tu keh raha hai to tu unke muh me khak daal raha hai. Yani woh khud zaleel honge aur jab tak tu apni adat par qayam rahega Allah ki madad tere shamil haal rahegi.(Matlab ye hai ki tu unke sath acha sulook karke unhe iss baat par majboor kar raha hai ke woh apne rawayye ka jaizah le. Iss tarah unhe apne rawayye aur tere ache sulook ka jaizah karke khud hi sharmindagi aur zillat hogi).

(Sahih Muslim, 2558)
(Musnad Ahmad, 2/300)
(Al-Adab al-Mufrad, 52)

26/10/2024

Allah Ta'ala ke yahan shirk na-qabile maafi gunah hai. Shirk ke alawa koyi doosra gunah aisa nahi jise Allah Ta'ala ne na-qabile maafi qarar diya ho ya jiske karne par jannat haram kar di ho.

إِنَّهُۥ مَن يُشْرِكْ بِٱللَّهِ فَقَدْ حَرَّمَ ٱللَّهُ عَلَيْهِ ٱلْجَنَّةَ وَمَأْوَىٰهُ ٱلنَّارُ ۖ وَمَا لِلظَّـٰلِمِينَ مِنْ أَنصَارٍۢ

Tarjuma: Jisne Allah ke sath shirk kiya us par Allah ne jannat haram kar di hai aur uska thikana jahannam hai. (Surah Maidah, 72)

إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَغْفِرُ أَن يُشْرَكَ بِهِۦ وَيَغْفِرُ مَا دُونَ ذَٰلِكَ لِمَن يَشَآءُ ۚ وَمَن يُشْرِكْ بِٱللَّهِ فَقَدْ ضَلَّ ضَلَـٰلًۢا بَعِيدًا

Tarjuma: Allah Ta'ala ke yaha shirk ki bakhshish hi nahi iske siwa aur sab kuch maaf ho sakta hai jise woh maaf karna chahe. (Surah Nisa, 116)

26/10/2024

Abdul Rehman bin Auf(Radhi Allahu Anhu) se rivayat hai:

Rasool Allah (sallallahu alayhi wasallam) ko farmate hue suna: Allah Azzawajal ka farman hai: Main Rehman (be-inteha reham karne wala) hoon aur maine hi reham (rishtedari) ko paida kiya hai aur maine apne naam (Rehman) ki nisbat se isko reham ka naam diya hai. Lihaza jo isko jodega main use jodunga aur jo isko todega main usko todunga (yani jo shakhs iske huqooq ka khayal rakhega to Allah Ta'ala bhi use nawazega aur use poora poora sawab dega. Qata rehmi karne wala shakhs Allah Ta'ala ki rehmat se door ho jayega).

(Sunan Abu Dawood, 1694)
(Jami at-Tirmidhi, 1907)
(Al-Adab al-Mufrad, 53)

17/10/2024

Husain bin Mohsin (Radhi Allahu Anhu) kehte hain ki mujhse meri phuphi ne bayan kiya:

Ek din main Nabi Kareem (sallallahu alayhi wasallam) ke paas gayi, aap (sallallahu alayhi wasallam) ne mujhse poocha: (tum) kaun ho? Kya tum shohar wali ho? Tumhara shohar hai? Maine kaha: han. Aap (sallallahu alayhi wasallam) ne farmaya: tum uske liye kaisi ho? Maine jawab diya: uss ki itaat (farmabardari) aur khidmat me koyi kotahi nahi karti, siwaye iske ke uss kaam se aajiz hoon. Aap (sallallahu alayhi wasallam) ne farmaya: tum khayal karo ki tum apne shohar ke mutalliq kahan ho kyun ki wahi tumhare liye jannat aur jahannam hai.(yani biwi agar shohar ka haq ada karti hai to shohar biwi ke jannat me dakhil hone ka sabab hoga aur agar shohar ke huqooq me kotahi karegi to shohar uske liye jahannam me jane ka sabab hoga).

(Musnad Imam Ahmad, 4/341)
(Sahih al-Targheeb wal Tarheeb, 1933)

07/10/2024

(Aye Eman walon!) Neki aur taqwe (parhezgari) me ek doosre ki madad karte raho aur gunah zulm zyadti me madad na karo aur Allah Ta'ala se darte raho, beshak Allah Ta'ala sakht saza dene wala hai.

(Surah Maidah, Ayat 2)

Rasool Allah (sallallahu alayhi wasallam) ne farmaya: Apne (musalman) bhai ki madad karo chahe woh zalim ho ya mazloom. Ek aadmi ne arz kiya: Aye Allah ke Rasool (sallallahu alayhi wasallam) jab woh mazloom ho to main uski madad karunga lekin agar woh zalim ho to phir uski madad kis tarah karoon? Farmaya: uss waqt uski madad ye hai ke use zulm se roko.

(Sahih al-Bukhari, 2596)

04/10/2024

Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) se rivayat hai:

Jab ye ayat nazil huwi: "Aur aap apne bahot qareebi rishtedaro ko darayen". To Nabi Kareem (sallallahu alayhi wasallam) (ne Quraish ko jama kiya aur) khade huwe aur awaz dee: Aye banu Kaab bin Lui apne aap ko (Jahannam ki) aag se bacha lo, Aye banu Abd Munaf apne aap ko aag se bacha lo, Aye banu Hashim apne aap ko aag se bacha lo, Aye banu Abdul Muttalib apne aap ko aag se bacha lo, Aye Fatimah binte Muhammad apni jaan ko aag se bacha lo. Main Allah ki taraf se tumhare liye kisi cheez ka malik nahi siwaye iske ki mera tumhare sath rishtedari ka talluq hai. Main iss reham ko tar karta rahunga (yani dunya me rishtedari nibhata rahunga aur sila-rehmi karta rahunga).

(Sahih Muslim, 402)
(Sunan Nisai, 4463)
(al-Adab al-Mufrad, 48)

03/06/2023

Uqba bin Amir (Radhi Allahu Anhu) se rivayat hai:

Rasool Allah (sallallahu alayhi wasallam) ne farmaya: Betiyon ko na-pasand na karo, kyun ki yaqeenan woh to (apne maa baap se) pyar karne waliyan aur qeemti cheez hain.

(Huqm: Hasan)

(Musnad Ahmad: 16922)
(Majma al-Zawaid: 8/156)

Address

Lucknow

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Al Quran and Hadith posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Contact The Place Of Worship

Send a message to Al Quran and Hadith:

Share