30/08/2024
💠Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Kareem صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:
“Qayamat Ke Din Suraj Logon Ke Bahut Qareeb Aa Jaa’ega Yahan Tak Ki(Us Ki Tapish Ke Baa’is Logon Ke) Nisf Kaano Tak Paseena Pahunch Jaa’ega Log Is Haalat Me(Pahle) Hazrat Aadam عليه السلام Se Madad Maangne Jaa’einge, Phir Hazrat Moosa عليه السلام Se, Phir Aakhir Me(Har Ek Ke Inkaar Par) Hazrat Mohammed صلى الله عليه وسلم Se Madad Maangeinge.”
📙(Sahih Bukhari – Vol: 02, Page:323, Kitabuz Zakat, Hadees: 1475)