01/12/2025
Janab Mukhtar Abbas Naqvi sahab ke naam
Qaum se bezar Naqvi, aap ko mera salaam
Hazrat Mukhtar Naqvi, aap ko mera salaam
Saahib-e-imaan ho, Abbas ho, Mukhtar ho
Zehr mein doobi zabaan lekar “Vine Katyaar” ho
Chand rooza zindagi ki in bahaaron ke liye
Modiyon ke, Yogiyon ke haashiya bardaaar ho
Ummat-e-Khair-ul-Bashar ke khoon ka pyaasa hai jo
Hai bada afsos! Tum us shaah ke saalaar ho
Daagh-e-daaman ke agar kuch dho sako to waqt hai
Qaum ke maathe pe warna bas nishaan-e-aar ho
Hum ko iss se koi bhi rishta nahi Mukhtar jo
Modiyon ka yaar ho, Allah ka gaddaar ho
Jafar az Bengal, Sadiq az Deccan the aur aaj
Dushmanan-e-deen ke haathon mein tum auzaar ho
Ab kahaan koi Sikandar Bakht ko karta hai yaad
Din zara badle to phir tum bhi wahaan bekaar ho
Yeh batao kaunsi mantiq hai kya asbaab hain
Kyun Khuda ke waaste nafrat se yun sarsaar ho
Kaun dega aakhirash arthi ko kandha aur kafan
Un Khuda waalon se jab tum is qadar bezar ho
Waastaa tum ko janaab Hazrat Abbas ka
Tum agar in Karbala waalon ke peirukar ho
Hai qasam tum ko usi Shaah-e-Umam saalaar ki
Jis Sheh-e-Mukhtar ki nisbat se tum Mukhtar ho
Aafiyat ka, khair ka rasta hai raah-e-Mustafa
Aah! Lekin is bhale raste se tum bezar ho
Waqt nikla jaa raha hai, hai dar-e-tauba khula
Hur bano, lashkar se niklo, Haidari lalkaar ho
Kab farishta maut ka aa jaaye kis ko kya khabar
Ab palat aao Khuda ra, dil agar bedaar ho
Sar faqat Allah ke aage jhuke sab ke nahin
Phir uli-l-albaab mein ho jaao agar hoshyaar ho
Rab ne bakshi hain tumhein duniya ki saari ne’matein
Ho usi ki hamd bas, us se hi istighfaar ho
Kaash mil jaaye tumhein bhi daulat-e-Khair-ul-Anam
Main tumhaare ghar chala aaun agar tayyaar ho
Haan kabhi hota nahi bhoolun main uska naam tak
Subah ka bhoola agar aa jaaye ghar par shaam tak
Mera Rab tujh ko nawaze izzat o ikraam se
Behra-war kar de haqeeqi daulat-e-Islam se
— Sarfaraz Bazmi