श्री श्रीविद्याधाम

श्री श्रीविद्याधाम श्री श्रीविद्याधाम मंदिर इन्दौर Akhil Bhrahamaand ki pratikatmak aakriti hai- "Shri Yantra". Singhvahini Durga ki pratima bahar bhag mein isthapit hai.

Shri Yantra ke madhya-bindu mein virajmaan "Bhagwati Mahatripursundari Shri ShriVidhya" ke naam se jaani jati hai. Mahatripursundari ka ye mandir Shri Yantra ki rachna ke aadhar par "Ashtkoniya" hai, jiske madhya mein Panch-Pretashan par "Rajrajeshwari Jagjanni Maa Paramba Lalita Mahatripursundari Shri ShriVidhya" virajmaan hai. Singhasan ke chaar istambh ke roop mein chaar dev- "Bhrahma, Vishnu, Rudra aur Ishan" hai, Singhasan par "Yogiraj Sadashiv" lete hue hai, jinki nabhi se nikale sahstradal Kamal par Mateshwari aasheen hai. Shri ShriVidhya ki isthapna se hi ye mandir "Shri ShriVidhyaDham" ke naam se jana jata hai. Maa ke vaam parshav mein Ridhi, Sidhi, Tushti, Pushti, Shri, Labh, Subh, Aamod, Pramod sahit subprivaar Shri MahaGanpati ki aur dakshin parsav mein Shiv Parivaar evam Anjani Nandan Hanumanji ki pratishta ki g*i hai. Pakshimi kon mein Bhevrav evam Annapurna Sheetla virajmaan hai. Ek Navkundiya Yagyashaala bhi aashram mein upastith hai. Anant Shri Bhivush*t Mahamandelshwar Swami Shri Girijianand Saraswati Maharaj "Bhagvan" dwara isthapit Shri ShriVidhyaDham sadhna ki drashti se ek alaukik tapobhumi aur teerthistal hai.

Address

Aerodrum Road
Indore
452005

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when श्री श्रीविद्याधाम posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Shortcuts

Share

Category