04/12/2025
𝗜𝘀𝗹𝗮𝗮𝗺 𝘀𝗶𝗿𝗳 𝗶𝗯𝘁𝗶𝗱𝗮 𝗵𝗮𝗶, lekin 𝗜𝗺𝗮𝗮𝗻 𝗿𝗼𝗼𝗵𝗮𝗻𝗶 𝘀𝗮𝗳𝗮𝗿 𝗸𝗮 𝗮𝗴𝗵𝗮𝗮𝘇 𝗵𝗮𝗶, jismein banda zahiri amal se batin ke tajalliyat ki taraf rawana hota hai.
Allah Ta'ala ne farmaya:
"𝗪𝗮 𝗹𝗮𝗺𝗺𝗮𝗮 𝘆𝗮𝗱𝗸𝗵𝘂𝗹𝗶𝗹 𝗲𝗲𝗺𝗮𝗮𝗻𝘂 𝗳𝗲𝗲 𝗾𝘂𝗹𝗼𝗼𝗯𝗶𝗸𝘂𝗺..."
(Imaan abhi tumhare dilon mein daakhil nahi hua)
asli imaan wo hai jo roohani tajurbaat aur maqamat se guzar kar dil mein utarta hai.
Tamaam roohani silsilon mein maqamat ka zikar hota hai, jismein ek saalik (raah-e-haq ka musafir) fana, baqa, yaqeen, tawakkul aur wasil ke manzilon se guzar kar haqeeqi imaan hasil karta hai.
Yeh imaan na sirf ilmi hota hai, balki haal (spiritual state) par mabni hota hai.
𝗝𝗮𝗶𝘀𝗲 𝗛𝗮𝘇𝗿𝗮𝘁𝗵 𝗕𝗮𝘆𝗮𝘇𝗶𝗱 𝗕𝗮𝘀𝘁𝗮𝗺𝗶ؒ 𝗳𝗮𝗿𝗺𝗮𝘁𝗲 𝗵𝗮𝗶𝗻:
"Log kehte hain ke woh Allah ko jaante hain, lekin agar woh usse jaante hote, toh uske siwa kisi se na darten, na umeed rakhte."
Yahan 𝗺𝗮𝗿𝗶𝗳'𝗮𝘁 ka taluq hai jismein imaan sirf zaban aur a'maal tak mehdood nahi rehta, balkeh dil ka itminaan, rooh ka yaqeen, aur Allah se wasl (roohani mail) ban jata hai.
𝗛𝗮𝘇𝗿𝗮𝘁𝗵 𝗝𝘂𝗻𝗮𝗶𝗱 𝗕𝗮𝗴𝗵𝗱𝗮𝗱𝗶ؒ 𝗻𝗲 𝗳𝗮𝗿𝗺𝗮𝘆𝗮:
"Imaan woh hai jo Allah ke siwa har cheez se be-niyaaz kar de."
Is se maloom hota hai woh jo banda ko sirf ibadat ka aadi nahi banata, balkay 𝗺𝘂𝗵𝗮𝗯𝗯𝗮𝘁, 𝗸𝗵𝗶𝗱𝗺𝗮𝘁, 𝗶𝗸𝗵𝗹𝗮𝗮𝘀, 𝗮𝘂𝗿 𝗔𝗹𝗹𝗮𝗵 𝗸𝗶 𝗿𝗮𝘇𝗮 𝗺𝗲𝗶𝗻 𝗳𝗮𝗻𝗮𝗮 𝗸𝗮𝗿 𝗱𝗲𝘁𝗮 𝗵𝗮𝗶.
𝗥𝗶𝘆𝗮𝗮, 𝗡𝗶𝗳𝗮𝗾, 𝗔𝘂𝗿 𝗞𝗵𝘂𝗱-𝗣𝗮𝗿𝗮𝘀𝘁𝗶 𝗸𝗮 𝗧𝗮𝘇𝗸𝗶𝘆𝗮𝗵:
Momin ke nazdeek, imaan ka sabse bada dushman riyaa (dikhawa), nifaq (dohrapan), aur khud-parasti (apne aap se mohabbat) hai.
Is liye Momin sab se pehle nafs ka tazkiyah (self purification) aur qalb ka tasfiyah (cleansing of heart) karte hain.
"Jab tak banda khud ko kuch samajhta hai, uska imaan mukammal nahi hota." Jab imaan sach mein dil mein daakhil hota hai, to banda:
Allah se mohabbat karta hai, usi se umeed rakhta hai.
- Makhluq se khidmat aur insaaf ka rawaiya ikhtiyar karta hai.
- Uska sab se bada maqsad Allah ki raza aur uska qurb hasil karna hota hai.
𝗝𝗮𝗶𝘀𝗲 𝗤𝘂𝗿'𝗮𝗻 𝗺𝗲𝗶𝗻 𝗮𝗮𝘆𝗮:
"Allazeena aamanu ashaddu hubban lillah."
"Jo log imaan laye, woh Allah se sab se zyada muhabbat karte hain." (𝗦𝘂𝗿𝗮𝗵 𝗕𝗮𝗾𝗮𝗿𝗮𝗵, 𝗔𝘆𝗮𝘁 𝟭𝟲𝟱)