01/10/2023
Gunah kar ke logon ko batana !
Rasulullah ne Farmaya
"Meri ummat ke tamam logo ke
Gunaah Allah bakhsh dega, siwaye un
logo ke jo Gunaah karke logo ko fakhr
se bataayen ki humne ye Gunah kiya
hai.
Sahih al-Bukhari 6069
Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ke,
Rasool' Allah () ne farmaya -
"Meri tamam Ummat (Tawheed parast)
ko Muaf kiya jayega siway Gunaaho
ko Khullam Khula karne walon ke aur
Gunaaho ko Khullam Khula karne me yeh
bhi Shaamil hai ke 1 Shakhs Raat ko koi
(Gunaah ka) kaam kare aur is ke bawajood
ke Allah ne is ke Gunah ko Chhupa diya hai,
magar Subah hone par woh kehney lagey
ke Aye fala! Maine kal raat fala fala bura
kaam kiya tha.
Jabki Raat guzar gayi thi aur is ke Rab ne is ka
Gunaah chupaye rakha, lekin jab Subah hui to
woh khud Allah ke pardey ko kholney laga."
Sahih al-Bukhari 6069
Aise Gunaah karne walo ko Mujahireen kehte
hai.
Yaani Gunaah ka Khullam khulla izhaar karne
wale log.
Jabki Yeh ek bohot badi burayi hai.
Allah Hum Sabko Hidayat de,
Hume Tamam kism ki Burayi se bachaye.
Ameen Allahumma Ameen