Shere Raza Foundation

Shere Raza Foundation Unity of: Naujawan Ahle Sunnat Committee

23/08/2026
Mahe RabiunNoor Ka Chand Mubarak !!  Moulaiyon Ko
14/08/2026

Mahe RabiunNoor Ka Chand Mubarak !!
Moulaiyon Ko

14/08/2026

माहे रबीउल अव्वल मुबारक़ हो!

14/08/2026

Youme Azadi Mubarak 🥰🎊🎉

अजमते मज़हरे आला हज़रत: ब-जुबाने मुबारक हुज़ूर सरकारे कलां और हुज़ूर मुहद्दिशे आज़म कुदशसिरहू (किछौछा शरीफ)
09/08/2026

अजमते मज़हरे आला हज़रत: ब-जुबाने मुबारक हुज़ूर सरकारे कलां और हुज़ूर मुहद्दिशे आज़म कुदशसिरहू (किछौछा शरीफ)

`Koun Huzoor Sufi Sahab Qiblaa`Kaise chup chaap chale jaate hain jaane waleAfsos! Dunya-e-Sunniyat aaj aisi zaat se mahr...
08/08/2026

`Koun Huzoor Sufi Sahab Qiblaa`

Kaise chup chaap chale jaate hain jaane wale

Afsos! Dunya-e-Sunniyat aaj aisi zaat se mahroom hogayi

Jis ka wujood o sarapa bilashubha ne'mat-e-Ilahi tha.

Jis ki rag rag mein ishq-e-Risalat ka khumar racha aur basa tha.

Jis ki har saans se ishq Ahle-Bait ki khushboo bikharti thi.

Jis ke dil ki har dhadkan mein Husainiyat zindabad ka naara tha.

Jis ki nazar o fikr ka mehwar ihqaq-e-haq o ibtal-e-baatil tha.

Jis ki aankhein apne har qareebi ko ghulam-e-Abbas alamdar dekhna chahti thi'n.

Jis ke kaan haq aur sach ke ilawa kuch sunne ko tayyar nahi'n.
Jis ki zaban par kilk-e-Raza ki khoonkhwari o barq bari hoti thi.

Jis ki shakhsiyat shari'at o tariqat ki majma'-ul-bahrain thi.
Jis ki mehfil mein Junaid o Bayazeed ke tasawwuf ka jalwa bhi tha,

Muhammad bin Qasim aur Salahuddin Ayyubi ka josh o junoon bhi.

Jami o Rumi ke ishq o muhabbat ki chasni bhi, gustakho'n ke liye Raza o Sheer-e-Raza ki lalkar bhi.

Jo silsila to Naqshbandi rakhta tha magar mizaj Hashmati.

Jo Naqshbandi hone ke bawajood ta'leemat-e-Raza ko aam karne ka mission rakhta tha.

Jo umr ki daswei'n dahai mein bhi kai jawano'n ki himmat o haosle se buland o bala jazba rakhta tha.

Jo haq goi ki buniyaad par ghairo'n se zyada apne kehlane walo'n ka mat'oon raha.

Jis ne bazahir madrase mein to ta'leem hasil na ki magar jab waqt pada to munazre mein muballigh-e-Deoband Irshad Ahmad Deobandi ko lajawab o mabhoot kardiya.

Jise Wahabiyat o Deobandiyat o Sulh-e-Kulliyat se nafrat o adawat wirase mein mili thi.

Jis ki khanaqah mein Wahabi o Deobandi to kuja in khabeetho'n ke ta'alluq se narm pehlu rakhne walo'n ki bhi gunjaish na thi,

Dawat-e-Ilyasi o Shatiri wale to bahut door in ke hamiyo'n ko bhi khanaqah ka koi baccha bardasht karne ko tayyar nahi'n.

Tathir o tathiriyat ke hami mulla o peer ko khatir mein lana to badi baat balke un ke taboot mein aakhri keel thokte hue apni khanaqah se behtareen kitab shaye farmai.

Meri murad hai" Barelviyat ke parde mein Wahabiyat ki ta'leem ".

Jis zaat ne apne shahzadgan o mureedeen o mutawassileen o mu'taqideen ko khule lafzo'n mein nasihat o wasiyat farmai ke is zamane mein haq ka mi'yar Hashmatiyat hai aur bata'keed-e-shadeed Sheer-e-Hindustan Huzoor Idrees-e-Millat damat fuyooduhum-ul-mubarakah ke mauqif ko apnaye rakhne ki wasiyat farmai.

Yaani *Soofi-e-Basafa Waqar-e-Sunniyat Bahar-e-Naqshbandiyat Rahnuma-e-Taliban-e-Hidayat Huzoor Al-Haj Al-Shah Soofi Muhammad Sa'eed Sahib Qibla Lohani* Naqshbandi Mujaddidi Khanaqah Naqshbandiya Mujaddidiya Dandeli Shareef, Karnataka.

Aah! Wo ishq o wafa ka paikar na raha.
Aah!! Wo tawazu' o inkasari ka sarapa na raha.
Aah!!! Wo shari'at o tariqat ka sangam na raha.
Aah!!! Wo sarfarosh mujahid o ghazi na raha.
Aah!!! Wo waqif-e-rumooz-e-tasawwuf na raha.
Aah!!! Wo Khwaja-e-Naqshband o Mujaddid-e-Alf-e-Thani ka saccha tarjuman na raha.
Aah!!! Wo gulistan-e-Sunniyat ki bahar-e-be-khazan na raha.
Aah!!! Wo be-khauf-e-lauma-ta la'im ihqaq-e-haq o ibtal-e-baatil karne wala mard-e-jari o beebak na raha.

Maula Tabarak wa Ta'ala Ahle Sunnat ko `Huzoor Soofi Sahib Qibla` 'alaih-ir-rahmah war-ridwan ka ne'mal badal ata farmaye

aur un ke tamam pasmandagan, mureedeen o mu'taqideen o muhibbeeni o mukhliseen o mutawassileen ko sabr-e-jameel o ajr-e-jazeel ata farmaye,

un ke naqoosh-e-qadam par chalne ki taufeeq ata farmaye aur un ke faizan-e-karam se malamal farmaye.

(Ameen Ya Rabbal 'Alameen bijahi)

Sayyidil Mursaleen salawatullahi Ta'ala wa salamuhu 'alaihi wa 'alaihim wa 'ala aalihi ajma'een.

"Abr-e-rahmat un ke marqad par guhar bari kare"
"Hashr tak shan-e-karimi naz bardari kare"

Yake az soogwaran: *Ubaid-e-Idrees M***i Muhammad Naqeeb-ur-Rahman Hashmati*

Darul Uloom Hashmat-ur-Raza Kernelganj, Kanpur

Address

Hashmati Street, AalaHazrat Road, Kamda
Balrampur
271205

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Shere Raza Foundation posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Contact The Place Of Worship

Send a message to Shere Raza Foundation:

Shortcuts

Share