22/08/2026
🖤 Ya Hussain Alvida… Ya Hussain Alvida… 🏴
Muharram ka chand bhi guzar gaya…
Majlison ki woh awaaz, matam ki woh sada, nauhon ki woh dard bhari aawaz aur Karbala ki yaadon se bhare woh din bhi ab rukhsat ho rahe hain…
Magar Hussain (A.S.) ka gham kabhi khatam nahi hota.
Muharram khatam ho gaya, lekin dil ab bhi Karbala mein hai…
Aankhon mein nami hai, labon par “Ya Hussain” hai aur dil se bas ek hi sada nikal rahi hai:
Ya Hussain… Alvida 💔
Ya Hussain… Alvida 🏴
Ae Maula Hussain (A.S.), humse ye Aza-e-Hussain ke din rukhsat ho rahe hain,
magar aapki mohabbat, aapka gham aur aapka paighaam hamare dilon mein hamesha zinda rahega.
Muharram chala gaya…
Majlis ka silsila tham gaya…
Lekin Karbala ki yaad aur Hussain (A.S.) ka gham kabhi rukhsat nahi hoga.
السلام عليك يا أبا عبدالله الحسين 🖤
🏴 Ya Hussain… Alvida
Ya Hussain… Alvida 🏴
Video Courtesy - Allahabad Ki Azadari