11/09/2022
Chiragh-e-Chisht | Khwaja-e-Khwajgan Sultan-ul-Hind | Khwaja Gharib Nawaz
Inspirational Life Quotes By Sahenshah e Hindustan Sarkar Khwaja Moinuddin Hasan Chishti Ajmeri Urs Khwaja Garib Nawaz Rehmatullah Alaih:
Nafs Parasti Hi Asal Me But Parasti Hai, Isko Tark Karne K Bad Khuda Parasti Ki Manzil Shuru Hoti Hai.
– Khwaja Moinuddin Chishti Rehmatullah Alaih
Ye Na Dekh K Tu Khaak Ka Putla Hai Aur Kamzor Hai. Balke Ye Dekh K Tu Apne Mehboob (Us Zaat) Ke Jamal Ka Aaina Hai, Aur Wo Tujh Mein khud Jalwagar Hai.
– Khwaja Moinuddin Chishti Rehmatullah Alaih
“ख़्वाजा” ने दरिया बताया,
“रज़ा” ने तैरना सिखाया,।
“ख़्वाजा” ने शरीयत बतायी,
“रज़ा” ने चलना सिखाया।
ऐ सुन्नियों “कुर्बान जाओ अपने मुकद्दर पर,
एक ने इस्लाम बताया तो एक ने इस्लाम बचाया।।।
ना हम रसूल की “अता” को छोड़ेगें
ना ही हम रसूल की “रज़ा” को छोड़ेगें।
Bhooke Ko Khana Kheelana, Hajat-Ravai Karna, Dushman Ko Muaf Karna Acche Nafs Ki Zeenat Hai.
– Hazrat Khwaja Moin-Ud-Din Chishti (Rehmatullah Alaih)
Kisi Ka Dil Na Dukhaao, Ho Sakta Hai Ke Woh Aansu Tumhari Sazaa Ban Jaye, Dukhiyon Ki Madad Karna Aur Unki Fariyad Sun’na Afzal Ibadat Hai.
– Hazrate Khawaja Garib Nawaz (Rehmatullah Alayh)
Qalam-e-Ilahi Ko Dekhna Aur Parhna Dono Sawaab Hai, Agar Ek Harf Par Nazar Padey Tou 10 Nekiya Darj Ho Aur 10 Buraiya Door Ho.
– Hazrate Khwaja Garib Nawaz (Rehmatullah Alayh)
Hazrat e Khwaja Garib Nawaz (Rehmatullah Alahi) Farmate Hai: “Apne Dil Ko Adawat Aur Nafrat Ke Jazbe Se Paak Rakho! Beshak Jab Log Kisi Khilaf-e-Shariat Baat Ko Dekhe Aur Usko Na Rokey Tou Anqarib Allah Unn Sab Par Apna Azabe-Aam Bhej Dega”.
Gunah Kerne Mai Itna Nuqsaan Nahi Pahochta Jitna Kisi Musalman Bhai Ko Zaleel Khwar Kerne Se Pahochta He.
– Khwaja Gareeb Nawaz RadiAllahu Ta’aala Anhu
Durveshi Woh Hai Jo Kisi Haajat-Mand Ko Mehroom Na Lautaye.
– Hazrat Khwaja Moinuddin Chishty Rehmatullah Alaih
Sultan ul Hind Hazrat Khwaja Moinuddin Chishti Ajmeri Rehmatullah Alaih Ne Farmaya, “Jis Shaks Main Yeh 3 Khaslate Ho Allah Tabarak wa Ta’ala Use Dost Rakhta Hain.
(1) Dariya Jesi Sakhawat (2) Aftab Jesi Safkat (3) Zameen Jesi Tawazo