01/05/2026
Ameer-ul-Momineen, Hazrat Ali (A.S) ka khoobsurat aur sabaq aamoz farman:
"Jab tumhein tumhari quwwat aur taqat logon par zulm karne ki dawat de, to is baat ko yaad rakho ke, Parwardigar tumhein saza dene, mazloomon se unki takleef door karne, aur tumhein us mein mubtala karne par qadir hai."
Taqat aur ikhtiyar Allah ki azmaish hain. Inhein zulm ke liye nahi, balke insaaf ke liye istemaal karein. Allah be-shak mazloom ke sath hai aur zalim ki pakar zaroor hoti hai.