24/08/2016
(HISTORY OF HAZRAT MUHAMMAD S.A.W.W)
Hazrat Muhammad S.A.W.W ALLAH kay akhri paighambar hain. Apki wiladat 12 Rabiy ul Awal ko Hazrat Abdullah aur Bibi Amna kay ghar hui, apki wiladat kay wakt apkay walid e muhtaram wafaat paa chukay thay. Nabi S.A.W.W ALLAH kay mehboob tareen nabi hain. Nabi akhri u zaman sardaar ul ambia, ka is dunya mein ana aur yahan say zulmat kay andhairon ko mitaya, ALLAH ka bani noh insan par aik bht bhara ehsan hai kay Aap kay bgair tmaam insaaniyat jaahliyat kay andhairon ai rehti aur kbe hidayat na paati. Aap S.A.W.W nay na sirf zaban say naiki o haq ki taleem di balkay khud insaano kay sath naiki karkay naiki o haq ka parchaar kiya.
Jub Aap S.A.W.W pehli baar shaqae sadar huwa tau Aap S.A.W.W Hazrat Halima Sadia R.A ki bakriyaan charatay thay. Ye silsila 4 martaba paish aaya. Pehli baar seena chaak karnay ka maqsad ye tha kay Aap en khyalon aur waswason say duur rhein jo bchon ko shararatein karnay par uksatay hain. Dusri baar es lye kay buray khayalaat say duur rhein, teesri dafa es lye kay Aap wahi ka bojh bardasht r skein aur akhri baar hijrat e madina say pehly paish aya. Jub Aap ghar wapis aye tau apnay chacha Abu Talib kay sath tijaarat par jana shuru kiya. Aap ki pehli shadi 25 saal ki umar mai Hazrat Khadija R.A say hui jo Qabila e Asad kay sardaar ki beti thein. Shuru mai Aap Ghar e Hira mai ibadat krtay thay, Aap par Nabuwat 40 saal ki umar mai nazil hui, jska zikar Aap nay sub say pehly apni biwi Hazrat Khadija say kiya. Jo Aap ko apnay chacha zaad Warqa Bin Nofl kay paas ly gaen jnho nay es waqiye ki tasdeeq ki.
Aap nay Arqam Makhrumi R.A kay ghar say tableegh ka aaghaz kiya, es doraan Quraish nay Aap par zulm o sitam ki inteha krdi. Nabuwat kay baarwein saal Meraj ka waqiya paish aya. Kufaar kay zulm o sitam say tang aa kr 3 din Ghar e Sor mai rhay. Phir Muqam e Quba par qayam farmaya jahan Masjid e Quba tameer farmaai. Jub Aap Yasrab tashreef laye tau logon nay eska naam Madina tu Nabi rakh diya yani Nabi ka shehr. Jang e Auhud mai musalmaano nay Aap ki nafarmani krk jo nuksaan uthaya tha usk azalay kay lye musalmaan Aap ki qayadat mai Makka rawana huay aur Makka kay bahir khaima zun ho gye. Lashkar e Islam 10,000 mujahedeen e islam par mushtamil tha, musalmaano ki itni tadaad dekh kar Abu Sufiyan khofzada ho gya aur Islam qabool kr liya. Lashkar nay Makka ka mukhaasra kiya aur Kuffar nay hathiyar daal diyay.
Hijrat kay baad Hajjat ul Widdah Nabi S.A.W.W ki zindage ka pehla aur akhri Hajj tha. 10 Hijri ko Aap nay Hajj ka elaan kiya aur madina say rawana huay, jsmay 1 lakh 25 hazaar musalmaan shareek huay. Mina kay mukaam par puhnch kar Aap nay Khutba irshaad farmaya. Eskay thoray din baad he Hazrat Ayesha R.A kay hujray mai Aap S.A.W.W nay wisaal farmaya. Beshak Nabi ki sunnat par amal he raah e nijaat hai.