06/12/2012
Ali(A.S) ka Shia:
Maalik-e-Ashtar, jo Imam Ali(A.S) k sipah salaar thay, ki taraf aik naujawan ne mazaq hi mazaq mein matti uchaal di jo un k ooper ja giri. Wo naujawan unhein nahin jaanta tha. Maalik-e-Ashtar fauran kuch kahay baghair aagay barh gaye.
Logon ne us naujawan ko gheir lia aur kaha: "Pehchaantay ho wo kon guzra hai!? Wo Maalik-e-Ashtar thay!"
Wo naujawan bauhat zayada dar gaya k abb kia ho ga k us ne sipah salaar k saath gustaakhi ki thi. Is ne socha k behtri isi mein hai k maafi mangi jaye. dhoondta hua wo Masjid mein pohancha tou dekha k Maalik namaz parh rahay hein, halan-k namaz ka waqt na tha.
Wo naujawan namaz khatm honay ka intizar karnay laga aur jaisay hi Maalik uthay, fauran un k qadmon mein ja gira aur kaha k mein ne jasaarat ki, mujhe maaf kar dein.
Maalik-e-Ashtar: Mein ne usi waqt tumhein maaf kar dia tha. Abhi namaz isi liay ada ki k Khuda k huzoor Dua karun k wo bhi tumhein maaf farmaye.
----------------------------------------------------------------------
Darindagi ka jawab darindagi nahin hai.
Zulm ka jawab zulm nahin hai
Haraam ka jawab Haraam nahin hai
Gaali ka jawab Gaali nahin hai