31/08/2023
Hazrat Abul Faiz Ṡaubaan ibn Ibrāheem al-Misri rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾
Zun-Noon.
*******************
Aap ki wilaadat 180 Hijri (796 A.D.) me Akhmim (Egypt) me hui.
*******************
Ek martaba Aap ek jangal se guzar rahe the ki aap ne dekha ke Aap ke kuchh dosto ko khazaane ka sandooq mila tha. Unho ne Aap ko bhi us me se hissa dene ke liye kaha. Aap ne inkar kiya. Magar us me ek takhti par ALLĀH ka naam likha tha. Aap ne us takhti ko uthaaya aur use chuma.
Us raat Aap ne khwaab me ek aawaaz suni “Dusre logo ne dunya ka khazaana chuna aur Tum ne hamara naam chuna. Is liye hum ne tumhare liye ilm o hikmat ke darwaaze khol diya hain.”
*******************
Ek baar Aap ek kashti me safar kar rahe the. Us me ek taajir ka qeemati moti kho gaya. Us ne aap par moti churaane ka iljaam lagaaya. Us ke kehne par logo ne aap ko p*etna shuru kiya. Aap ne aasmaan ki taraf dekhkar kaha “Aye ALLĀH! Tu jaanta hai ki main chor nahi hu.” Itne me hazaaro machhaliya apne munh me moti lekar paani ke upar aai. Hazrat ne ek machhli ke munh se moti lekar us shakhs ko de diya. Wo tamaam log bahot sharminda hue aur Aap se maafi maangi.
Tab se Aap ka laqab ‘Zun-Noon’ ho gaya.
*******************
Aap ne 10 saal tak koi lazeez khaana nahi khaaya. Ek baar Eid ki raat ko aap ke nafs ne Aap se kaha “Aap ne kai saal se koi lazeez khaana nahi khaaya. Kal eid ka din hai. Kal to kuchh achha khaana khaa lo.” Aap ne us se kaha “Main aaj raat me 2 rak'at namaaz padhunga. Jis me pura Qur'ān majeed mukammal karna chaahta hu. Agar us me tum mujhe saath do to kal main tumhe kuchh achha khaana khila sakta hu.” Aap ne raat me 2 rak'at namaaz padhi jis me khushu wa khuzu ke saath pura Qur'ān majeed mukammal kiya.
Subah Aap ke nafs ne kaha “Aaj 10 saal ke ba’ad achha khaana khaane ki meri khwaahish puri hogi.” Aap ne kaha “Ab to main tumhe is me kaamyaab nahi hone dunga.”
Kuchh der me ek shakhs ek bartan me khaane lekar aaya aur kehne laga “Huzoor! Main bahot ghareeb hu. Mere pariwaar ne kabhi achha khaana nahi khaaya. Maine bahot mehnat karke aaj eid ke din un ke liye achha khaane ka intazaam kiya hai. Raat ko mere khwaab me Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki ziyarat hui aur aap ne farmaaya : Agar tum roze qayaamat mujh se milna chaahte ho to is khaane ko jaakar Zun-Noon misri ko de do. Aur us se kehna kuchh lamho ke liye apne nafs se samjhauta kar lo aur is khaane me se kuchh lukme khaa lo.”
Apne Aaqa sallallāhu alaihi wa sallam ka farmaan sunkar Aap ne us bartan me se kuchh lukme khaaye aur phir use us shakhs ko waapas diya.
*******************
Ek baar ek shakhs Aap ke paas aaya aur bataya “Bhaari qarz ki wajah se bahot pareshaan hu.” Aap ko raham aaya aur ek patthar ko uthaaya. Jaise aap ne patthar uthaaya woh heera ban gaya. Aap ne us shakhs ko de diya aur us ne use bechkar apna qarz ada kiya.
*******************
Logo ne Aap par zindeeq [heretic] hone ka ilzaam lagaya aur baadshah ne aap ko qaid kar liya. Aap ko 40 din tak qaid me rakha gaya. Aap ki bahen Aap ke liye khaana laati thi lekin jab Aap ko riha kiya gaya tab 40 rotiya waise hi maujood thi. Aap ki bahen ne puchha “Aap ne khaana kyun nahi khaaya? Main to halaal kamaai se aap ke liye khaana laati thi.” Aap ne farmaaya “Yeh sach hai. Magar tum jis darbaan ke saath khaana bhejti thi woh zaalim tha.”
Phir baadshaah ne Aap se kuchh mushkil sawaal puchhe. Aap ne un ke qaabil e ta’areef jawaab diye. Use sunkar darbaar me maujood tamaam log hairat me pad gaye. Aur baadshaah bhi Aap ka mureed ho gaya aur aap ki bahot ta’azeem karne laga.
*******************
Ek shakhs Auliya e kiraam ka munkir tha. Ek roz ittifaaqan us ki mulaaqaat Hazrat Zun-Noon Misri se ho g*i. Hazrat ne use ek angoothi dekar farmaaya “Jaao, Kisi Naanbaai ke paas ise girwi rakh aao.” Woh shakhs angoothi lekar Naanbaai ke paas gaya aur use angoothi girwi rakhne ko kaha. Us Naanbaai ne angoothi dekhi aur kaha ki “Ise ek dirham se zyada me na rakhunga.” Woh shakhs angoothi waapas le aaya aur Hazrat ko yeh baat bataai. Aap ne farmaaya “ Achha, Ab ise kisi Sarraaf ke paas le jaao aur us se daryaaft karo ki woh ise kitne me girwi rakhega.” Woh us angoothi ko lekar ek Sarraaf ke paas gaya. Sarraaf ne angoothi dekhkar kaha ki “Main ise ek hazaar dirham par girwi rakhuga.” Us shakhs ne aakar Aap ko bataaya.
Aap ne farmaaya ki “Bas mujhe yehi samjhaana tha ki tumahra ilm itna hai jitna us naanbai ka is anghooti ke muta'alliq tha. Tum agar Aarif [pehchaanne waale] hote to Auliya e kiraam ka inkaar nahi karte.” Woh foran apni galti par sharminda hua aur tauba ki.
*******************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap irshaad farmaate hain :
(1) Insaan ki kharaabi ki wajah yehi hai ki wo ALLĀH ko raazi karne ke bajay logo ko raazi karne me laga rehta hai, shaitaan ke behkaane par bahek jaata hai aur maut ko bahot door maanta hai aur nek amal karne me dilchaspi nahi rakhta aur nafs ko raazi karne ke liye Sunnat e Rasool ko chhod deta hai aur jab koi galti ho jaaye to kehta hai ki akaabir [Auliya wa Ulama] bhi lagzish ho jaati hai jab ki us waqt wo un ke martabe aur kamaalat ko bhool jaata hai.
(2) Ishqe ilāhi ki daleel Sunnate Rasool ko apnaana hai. Sunnato ko mukammal aur mazbooti se apnaaye baghair ishqe ilāhi mumkin nahi.
(3) Soofi wohi hai jo us nek amal ke liye kahe jis ko woh khud karta ho.
(4) Khalwat [tanhaai] se behtar koi cheez aisi nahi hai jo Ikhlaas ki raah par le jaaye. Jis ne khalwat ko apnaaya us ne ikhlaas ke sutoon ko mazboot pakad liya.
(5) Koi ta’areef kare ya buraai, Us ki parwaah kiye baghair Neki ka kaam karte rehna ye Ikhlaas hai.
(6) 4 baaten qalb ki beemaari ki nishaani hain :
[1] Woh ALLĀH ta’ala ke khauf se khaali hota hai.
[2] Woh ibaadat ki halaawat [meethaas] mehsoos nahi karta.
[3] Woh dunya ki cheezo aur waardaato se koi sabak haasil nahi karta.
[4] Woh apne ilm ko amal me nahi laata.
(7) Insaan ki Hidaayat milne ki 3 nishaaniya hain :
[1] Museebat aur ranj ke waqt wo Sabr karta hai.
[2] Ne’amat milne par ALLĀH ta’ala ka shukr ada karta hai.
[3] Jab kisi par ghussa aata hai to us shakhs se rishta aur ta’alluq tod nahi deta balke us ke ehsaan aur achhai yaad karta hai.
(8 ) Ma’arifat ki 3 qisme hain :
[1] Ma’arifat-e-Tauheed – ALLĀH subhān wa ta’ala ki wahaadaniyat ki pehchaan, jo har musalman ko hoti hai. [Ilm-ul-Yaqeen]
[2] Ma’arifat-e- Hujjat wa Bayaan – ALLĀH subhān wa ta’ala ke wujood ki daleel, jis ka ilm Ulama ko hota hai. [Haq-ul-Yaqeen]
[3] Ma’arifat-e-Sifaat – ALLĀH ta’ala ki Sifaat ki pehchaan, jo Auliya Allāh ko hoti hai. [Ain-ul-Yaqeen].
*******************
Aap ke shaagirdo me Hazrat Sahl al-Tustari rahmatullāhi alaihi mash'hoor hain.
*******************
Aap beemaari ke sabab be-hosh the. Wisaal ke pehle aap ne aankhen kholi to Yousuf bin Husain ne kuchh naseehat ke liye kaha. Aap ne farmaaya “Mujhe guftagu me masroof mat karo. Main Rab ta’ala ki rahmato ki baarish dekhkar hairat me hu.”
Jab log aap ka janaaza lekar ja rahe the tab dekha ki parindo ka ek bahot bada jhund janaaze ke upar aasmaan me aa gaya aur janaaze ke saath saath udta hua saaya karta raha.
Raaste me masjid ke paas se janaaza guzra to moazzin ne jab pukaara ‘Ash'hadu al laa ilāha illallāh’ to Aap ne apni shahaadat ki ungli ko uthaaya. Logo ne jaanch karne ke liye janaaza rakhkar dekha ki shaayad Aap abhi zinda ho. Magar jab dekha to Aap ke j**m me koi harkat nahi thi. Jab aap ki ungli ko sidhi karne ki koshish ki g*i to woh nahi hui. Aur qabr me utaarte waqt bhi Aap ‘Shahaadat’ dete rahe.
******************
Aap ka wisaal 10 Safar 245 Hijri (859 A.D.) ko hua.
*******************
Aap ka mazaar Qarafa, Cairo (Egypt) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Ṡaubaan Zun-noon al-Misri rahmatullāhi alaihi aur Tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.