26/08/2026
β οΈ Madinah Par Gham Ka Sab Se Bada Din... ππ
Kya aapko pata hai ke Pyaare Nabi ο·Ί ki wafat ke fauran baad Sahaba-e-Kiram (R.A) par kya beeti thhi?
π Hazrat Umar (R.A) gham se be-qabu ho gaye the, magar Hazrat Abu Bakr Siddiq (R.A) ne aakar Nabi ο·Ί ki peshani mubarak par bosa diya aur farmaya: "Aap zindagi mein bhi paak the aur aaj bhi paak hain!" (Sahih Bukhari).
π Phir Mimbar par khade ho kar farmaya: "Jo Muhammad ο·Ί ki ibadat karta tha woh jaan le ke Aap ο·Ί ki WAFAT ho chuki hai, aur jo Allah ki ibadat karta hai woh jaan le ke Allah Hamesha Zinda hai!"
π‘ Is waqiye ne Ummat ko Tauheed aur Sabr ka sab se bada sabaq diya. Is dardnak aur hidayat-bhashi reminder ko abhi save karlein aur har ek Muslim dost tak zaroor share karein!
π Jamiat Ahle Hadees, Hyderabad.